Adsense Urdu

Google Adsense Kya Hai?
Agr Ap Internet Ki
Dunya se lagao
rakhte hain to
yaqeenan aap
Google se Zaroor
waqif honge
is ka shumar Dunya
ki Ameer tareen
Companies main
hota hai.
Google ki different
Products hain jin
main se
Adsense Hai,
Google khud to
maaldar hai lekin is
ne doosre logon ko
bhi ameer banane
ka fesla kya hwa
hai.
Google
Adsense
 Dunya ki
famous Company
Google ki 1
munfarid Service
hai jis se log raton
rat ameer hwe hen
Google Adsense
Kese Kam krta hai
Jab ap is service k
liye Apply krte hen
to Google Ap
ko Adsense ka
Account deta
hai. Adsense main
different types
k Ads jin ko is
Account se
Generate kiya jata
hai or apni site pr
laya jata hai.
Jab koi Visitor ap ki
website pr mojood
is Ad pr click krta
hai to Google 1
makhsus raqam
Dollar main deta hai
jo ap k Adsense
Account mai jama
krdi jati hai.
Log Adwords k
zariye apni ads
Publish krte hain or
ye wohi Ads hain
jinhen apni website
pr laga kr Dollars
kamae ja sakte
hain. Jitne Ziyada
users ap ki site pr
aaenge utni hi
ziyada Product Sale
hogi.
Jahan
inki Income main
izafa hoga wahan
ap ki Income Main b
izafa hoga.
Jese jese ap k ads
pr click barhte
jaenge to ap k
account main
raqam b brhti jaegi
or jab ap k account
main $10 hojaenge
to Google Staff ap ko
1 Pin
Number bhejenge jis
se ye tasdeeq hogi
k kaam krne wala
shakhs diye gae
Adress pr mojood
hai ya nahi. Ap ko wo Pin
Number apne
Account main Log
In hokar dalni hogi.
Is k bad ap ki kamai
barhti jaegi or jab
ap k account main $
100 ho jayen ge to Google ap ko
Payment bhej dega.